talash-e-rahbar na KHauf-e-mazil na fikr koi hai jism-o-jaan ki

talash-e-rahbar na khauf-e-mazil na fikr koi hai jism-o-jaan ki
junun salamat to kis ko parwa rahe wafa ke har imtihan ki

jo tum ne dekha hai muskura kar qadam zamane ke ruk gae hain
us ek nigah-e-karam se pahle kahan thi mujh par nazar jahan ki

bayan garche tha dard dil ka magar tha kaif-o-asar se khali
jo nam aaya hai us mein tera badhi hai lazzat bhi dastan ki

rawish pe mahw-e-khiram ho kar jagae kya kya na tum ne jadu
kali mein rangat gulon mein nikhat na zinat aisi thi gulsitan ki

jamal-e-jaanan ki jalwa-gahen jahan bhi jaun wahan pe paun
jhukaun sar ko jahan bhi apne wahin pe chaukhat hai aastan ki

kabhi na insan ke dil mein jhanka kabhi na khoda khazana-e-dil
zamin ke rukh se hatae parde to baat ki hum ne aasman ki

zarur aaengi phir bahaaren chaman mein phir raqs-o-rang hoga
na baad-e-sar-sar ke honge jhonke na yurishen hongi phir khizan ki

ye jaanta hun ki us ka muddat se tinka tinka bikhar raha hai
na jaane phir kyon ye yaad paiham hai mere ujde se aashiyan ki

jo aarzu ko 'habib' pukhta to qurb-o-duri ka farq kaisa
mere tasawwur ne khatm kar di jo duri hum mein thi darmiyan ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close