tanur-e-waqt ki hiddat se dar gae hum bhi magar tapish mein tape to nikhar gae hum bhi jahan pahunch ke musafir ke rukh badalte hain rah-e-hayat ke us mod par gae hum bhi jala diya tha safina utar ke sahil par junun-e-fath mein kya kya na kar gae hum bhi jadid rang se maddham hua na rang-e-kuhan qadim rang mein wo rang bhar gae hum bhi qadam qadam pe sitam sah ke ji rahe the jise usi hayat ki banhon mein mar gae hum bhi na kuchh junun-e-tajassus ka puchhiye aalam kahan kahan se na 'kausar' guzar gae hum bhi