zamin ke sath falak ke safar mein hum bhi hain qafas-nasib sahi baal-o-par mein hum bhi hain wahin se lut gai raston ki tanhai jahan pe us ne ye jaana safar mein hum bhi hain to wo shajar jo sada barg-o-bar deta hai misal-e-ab-e-nihan is shajar mein hum bhi hain jise kahin se samundar ne la ke phenk diya tumhaare sath ek aise hi ghar mein hum bhi hain kitab the to padhe ja sake na duniya se lo ab charagh hue rahguzar mein hum bhi hain khayal aag hai shoala hai fikr lau alfaz ye sab hunar hain to phir is hunar mein hum bhi hain 'matin' shahar bhi sahra-nazhad hai itna ki sang-o-khisht mein diwar-o-dar mein hum bhi hain