tanz ki tegh mujhi par sabhi khinche honge aap jab aur mere aur nagiche honge aaina puchhega jab raat kahan the sahab apni banhon mein wo apne hi ko bhinche honge jis taraf chahiyega aap chale jaiyega samne chand ke hum aankhon ko miche honge aaj phir guzrenge qatil ki gali se hum log aaj phir band makanon ke dariche honge jis ki har shakh pe radhaen machalti hongi dekhna kirshn usi ped ke niche honge ek makan aur bhi hai shish-mahal ke logo jis mein dahliz na aangan na dariche honge tera dam hai to bahaaron ko sukun hai 'bekal' phir tere baad kahan bagh baghiche honge