munh dhanp ke main jo ro raha hun ek parda-nashin ka mubtala hun kya hijr mein na-tawan hua hun tinka na uthe wo kahruba hun teri si na bu kisi mein pai sare phulon ko sunghta hun bulbul hai chaman mein ek hamdard main bhi kisi gul ka mubtala hun aaina hai jism-e-saf us ka kyunkar na kahe main khud-numa hun kahta hai ye mushtari falak par yusuf tere hath mein bika hun rukhsar wo rakh ke so gaya tha gul takyon ko roz sunghta hun khat likh ke jo hai talash-e-qasid manind qalam main phir raha hun mar jaan kahi dekh dekh wo hath mehndi ki tarah main pis gaya hun itni tu jafaen kar na ai but aakhir main banda-e-khuda hun ab to mujhe ghaib-dan kahen sab main teri kamar ko dekhta hun 'goya' hun waqt ka suleman pariyon par hukm kar raha hun