tapakte shoalon ki barsat mein nahaunga ab aa gaya hun to is shahar se na jaunga kashish hai ghar mein na bahar ki raunaqen baqi yunhi raha to kahan ja ke muskuraunga ye gili gili si khushbu ye narm narm nigah tumhaare pas raha main to bhig jaunga basa sako to basa lo mujhe khayalon mein ki is dayar mein dobara main na aaunga qadam samet ke chalna bhi sikh jaoge tumhein main ganw ki pagdandiyan dikhaunga chala tha dhundne main zindagi ki buniyaaden pata na tha ki khud apna pata na paunga na hunga main to meri dastan hogi 'nazar' zamin pe dhup ki surat main phail jaunga