badan ki qaid se bahar thikana chahta hai ajib dil hai kahin aur jaana chahta hai abhi dikhao na taswir-e-zindagi is ko ye bachpana hai abhi muskurana chahta hai har ek rut nahin bhati hamari aankhon ko hamara khwab bhi mausam suhana chahta hai ghutan ho dil mein to phir shaeri nahin hoti ghazal ka sher faza shairana chahta hai tere baghair bhi zinda hun dekh le ai dost ab aur kya tu mujhe aazmana chahta hai main in amiron ki aankhon mein yun khatakta hun ki mujh gharib ko sara zamana chahta hai main jaan nisar karun us pe chahta hun magar wo aasman se sitare mangana chahta hai in aandhiyon ko yahi khauf khae jata hai 'faraaz' phir se diya ek jalana chahta hai