tapish ho soz-e-gham ho ishq mein lekin fughan kyon ho

tapish ho soz-e-gham ho ishq mein lekin fughan kyon ho
lagi ho aag sine mein magar us mein dhuan kyon ho

luta di apne hathon jab mataa-e-sim-o-zar main ne
to phir ab sang-rezon par gham-e-sud-o-ziyan kyon ho

nigah-e-awwalin to intihai kaif-parwar thi
wahi dil mein utar kar umr bhar ko nish-e-jaan kyon ho

ata-e-gham mein bhi tafriq ki talib hai khuddari
jo sab ki dastan-e-gham ho meri dastan kyon ho

na jite ji shifa bakhshi na jine ki dua mangi
koi phir 'nur' mayyat par hamari nauha-khwan kyon ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close