shab-e-ahd-e-gul mein baqi hain abhi ranaiyan

shab-e-ahd-e-gul mein baqi hain abhi ranaiyan
tairti hain gham ki gahrai mein kuchh parchhaiyan

der tak tanha khada dekha kiya us mod par
ja chuki thin jis taraf bajti hui shahnaiyan

sakhti-e-daur-e-khizan ko chaar din bite nahin
phir wahi bulbul ke naghme phir chaman-araiyan

khud se bhi khalwat mein milne ko taras jata hun main
lipti rahti hain hamesha yun meri parchhaiyan

'nur' be-payan khala mein dubti hai jab nazar
aur badh jati hain meri raat ki tanhaiyan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close