tapish se bhag kar pyasa gaya hai samundar ki taraf sahra gaya hai kuan maujud hai jal bhi mayassar wo mere ghar se kyun tishna gaya hai dobara ruh us mein phunk do tum badan jo phir akela aa gaya hai zaman apni rawish par to hai qaem magar lamhat mein farq aa gaya hai safar mein taza-dam hoga wo kaise jo ghar hi se thaka-manda gaya hai bana hoga khas-o-khashak se wo jo nabh jalta hua dekha gaya hai mujhe lahron ki kashti par bitha kar bhanwar ki khoj mein dariya gaya hai zamin se bhi tawaqqo kuchh hai aisi dimagh-e-charkh jab chakra gaya hai jo utra arsh ka ek ek tabqa zamin par daera banta gaya hai na fikr-e-warta thi us ko zara bhi wo kashti zist ki kheta gaya hai 'figar' us mein wajud us ka milega jo juyan bahr ka qatra gaya hai