tapish se meri waqf-e-kashmakash har tar-e-bistar hai mera sar ranj-e-baalin hai mera tan bar-e-bistar hai sarishk-e-sar ba-sahra dada nur-ul-ain-e-daman hai dil-e-be-dast-o-pa uftada bar-khurdar-e-bistar hai khusha iqbaal-e-ranjuri ayaadat ko tum aae ho farogh-e-sham-e-baalin tala-e-bedar-e-bistar hai ba-tufan-gah-e-josh-e-iztirab-e-sham-e-tanhai shua-e-aftab-e-subh-e-mahshar tar-e-bistar hai abhi aati hai bu baalish se us ki zulf-e-mushkin ki hamari did ko khwab-e-zulekha aar-e-bistar hai kahun kya dil ki kya haalat hai hijr-e-yar mein ghaalib ki betabi se har-yak tar-e-bistar khar-e-bistar hai