tapte sahraon ki saughat liye baiTha hai

tapte sahraon ki saughat liye baitha hai
pyasi aankhon mein wo barsat liye baitha hai

chand masle hue safhat liye baitha hai
ghar ka budha jo riwayat liye baitha hai

umr hi teri guzar jaegi un ke hal mein
tera bachcha jo sawalat liye baitha hai

zulf-e-shab-rang pe rangin kashida aanchal
wo koi taron bhari raat liye baitha hai

tu bahadur hai magar hech hai us ke aage
ek buzdil jo teri baat liye baitha hai

kaise kah dun ki use jine ka haq hai 'hamid'
dil mein jo lasha-e-jazbaat liye baitha hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close