poshida ajab zist ka ek raaz hai mujh mein be-par hun magar jurat-e-parwaz hai mujh mein duniya main tere sath abhi chal na sakunga kuchh baqi abhi zarf ki aawaz hai mujh mein safhat pe bikhre hain mere sainkadon suraj insan ke har ek bab ka aaghaz hai mujh mein majruh to kar sakta nahin tere yaqin ko ai dost magar fitrat-e-hamraaz hai mujh mein koi mujhe bad-kar kahe us ki khata kya ye mera hi bakhsha hua ezaz hai mujh mein juz tere mera sar na jhuka aage kisi ke ye naz hai gar jurm to ye naz hai mujh mein