taq-e-abru hain pasan-e-taba ek dil-khwah ke umr hoti hai basar gumbad mein bismillah ke jaun kyun-kar bin bulae us but-e-dil-khwah ke be-talab koi nahin pahuncha huzur allah ke ru-e-nurani ka tere ho gaya hai shak jo yar raat bhar dauda hun kya kya pichhe pichhe mah ke sham-e-wasl aai idhar maujud thi subh-e-firaq kam ghadi se bhi pahar hain is shab-e-kotah ke dagh-e-ishq-e-husn ka luqma niwala hai kada sair-dil hain khane wale is gham-e-jaan-kah ke na-tawani se hai haalat ghair hijr-e-yar mein dam nikal jata hai apna sath har ek aah ke ishq-e-but mein koh par ja ja ke sar patka kiye panw ko sadme rahe past-o-buland-e-rah ke salaha ishq-e-zanakhdan ne lahu pani kiya muddaton roe hain ja ja kar kinare chah ke hashr tak yun hi rahenge ghamza-o-andaz-o-naz ishq-e-ali-manzilat se husn-e-wala-jah ke ja nikalta hai jo mujh sa tishna-e-didar-e-husn zikr-e-yusuf karne lagte hain kabutar chah ke manzil-e-maqsud mein chal kar nikalunga unhen aablon mein ye jo hain paiwast kante rah ke us but-e-be-din ki zulfon ka ishaara hai yahi is bala mein wo phasen aashiq hon jo allah ke kab samai hai nazar mein raushni-e-aftab chashm-e-bina rakhte hain zarre teri dargah ke