tar-tar-e-pairahan mein bhar gai hai bu-e-dost

tar-tar-e-pairahan mein bhar gai hai bu-e-dost
misl-e-taswir-e-nihaali main hun ham-pahlu-e-dost

chehra-e-rangin koi diwan-e-rangin hai magar
husn-e-matla hain masin matla hai saf abru-e-dost

hijr ki shab ho chuki roz-e-qayamat se daraaz
dosh se niche nahin utre abhi gesu-e-dost

dur kar dil ki kudurat mahw ho didar ka
aaine ko sina safi ne dikhaya ru-e-dost

wah-re shane ki qismat kis ko ye malum tha
panja-e-shal se khulenge uqda-ha-e-mu-e-dost

dagh-e-dil par khair guzri to ghanimat jaaniye
dushman-e-jaan hain jo aankhen dekhti hain su-e-dost

do marenge zakhm-e-kari se to hasrat se hazar
chaar talwaron mein shal ho jaega bazu-e-dost

farsh-e-gul bistar tha apna khak par sote hain ab
khisht zer-e-sar nahin ya takiya tha zanu-e-dost

yaad kar ke apni barbaadi ko ro dete hain hum
jab udati hai hawa-e-tund khak-e-ku-e-dost

us bala-e-jaan se 'atish' dekhiye kyunkar bane
dil siwa shishe se nazuk dil se nazuk khu-e-dost


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close