taq-e-jaan mein tere hijr ke rog sambhaal diye us ke baad jo gham aae phir hans ke tal diye kab tak aad banae rakhti apne hathon ko kab tak jalte tez hawaon mein behaal diye wahi muqabil bhi tha mera sang-e-rah bhi tha jis patthar ko main ne apne khadd-o-khal diye zard ruton ki gard ne haal chhupaya tha ghar ka ek barish ne diwaron ke zakhm ujal diye dhat khari thi jazbon ki lekin ujrat se qabl qismat ki taksal ne sikke khote dhaal diye taza rut ke istiqbaal ki khatir shakhon ne ped ke sare mausam-dida-pat uchhaal diye jin ko padh kar pahle hansti thi phir roti thi aakhir ek din main ne wo khat aag mein dal diye jin mein the mazkur hawale teri chahat ke 'nur' kitab-e-zist se wo auraq nikal diye