kaha tha kis ne ki ahd-e-wafa karo us se jo yun kiya hai to phir kyun gila karo us se nasib phir koi taqrib-e-qurb ho ki na ho jo dil mein hon wahi baaten kaha karo us se ye ahl-e-bazm tunuk-hausla sahi phir bhi zara fasana-e-dil ibtida karo us se ye kya ki tum hi gham-e-hijr ke fasane kaho kabhi to us ke bahane suna karo us se 'faraaz' tark-e-talluq to khair kya hoga yahi bahut hai ki kam kam mila karo us se