taqat ke sare zor ko khamosh kar diya khamoshiyon ne shor ko khamosh kar diya jis dor se nikalti rahi pyar ki sada zalim ne aise dor ko khamosh kar diya sab kuchh to thik tha jo nazar panw par padi masti mein dube mor ko khamosh kar diya wo bhid thi jo tut padi aur us jagah hathon mein aae chor ko khamosh kar diya aksar yahi hua hai ki jismon ki aag ne jismon ke por por ko khamosh kar diya ai dost mai se dur hi rahna ki us ne to kitne hi baada-khor khamosh kar diya 'fayyaz' hum diya nahin jis ko ki aap ne shab-bhar jalaya bhor ko khamosh kar diya