usi se fikr-o-fan ko har ghadi mansub rakhte hain ghazal wale ghazal ko surat-e-mahbub rakhte hain zaban ki chashni se tar-ba-tar ghazlon ko padhta hun ye ruhani ghiza hai hum jise marghub rakhte hain ghazal tahzib hai meri ghazal mera tamaddun hai buzurgon ne jo rakkha tha wahi uslub rakhte hain sunate hain tahat mein jab ghazal andaz mein apne pukar uthti hai duniya zauq hum kya khub rakhte hain ghazal bas is liye phaila rahi hai apne daman ko ki hum ghazlon ke tewar ko bahut hi khub rakhte hain jinhen ghazlon se uljhan hai miyan 'fayyaz' kya bolen nazakat se ghazal ki hum unhen marub rakhte hain