taqaza ho chuki hai aur tamanna ho raha hai ki sidha chahta hun aur ulta ho raha hai ye taswiren sadaon mein dhali jati hain kyun kar ki aankhen band hain lekin tamasha ho raha hai kahin dhalti hai sham aur phutti hai raushni si kahin pau phat rahi hai aur andhera ho raha hai pas-e-mauj-e-hawa barish ka bistar sa bichhane sar-e-baam-e-nawa baadal ka tukda ho raha hai jise darwaza kahte the wahi diwar nikli jise hum dil samajhte the wo duniya ho raha hai qadam rakkhe hain is payab mein hum ne to jab se ye dariya aur gahra aur gahra ho raha hai kharabi ho rahi hai to faqat mujh mein hi sari mere chaaron taraf to khub achchha ho raha hai kahan tak ho saka kar-e-mohabbat kya bataen tumhaare samne hai kaam jitna ho raha hai guzarte ja rahe the hum 'zafar' lamha-ba-lamha samajhte the ki ab apna guzara ho raha hai