taqaze hain shayad yahi aaj-kal ke bahaaron mein rakh den gulon ko masal ke meri talkh thi muskurahat kuchh aisi gham-e-zindagi rah gaya hath mal ke hamein kya daraate ho mitne ke dar se zamana na rakh de tumhein khud kuchal ke faza mein ye dhimi si aahat hai kaisi saba hai ki un ke qadam halke halke ye dil hai shikasta umidon ki basti yahan aaiyega sambhal ke sambhal ke ajab hai ye duniya ajab us ki rasmen kahin par ujale kahin par dhundalke na ki main ne taqlid-e-shaikh-o-barahman khuda mil gaya is bhanwar se nikal ke suna hai bahisht-e-zamin mai-kada hai chalo 'tahira' dekh len kyon na chal ke