safha-e-qirtas par khush-rang tahriren nahin apne qabze mein abhi lafzon ki jagiren nahin zindagi hum ne guzari ek bewa ki tarah khwab wo dekhe ki jin ki koi tabiren nahin ji rahe hain shahar mein sab log andeshon ke sath ek tere hi panw mein sochon ki zanjiren nahin aur uchhlenge adab ke maskharon ke sar yahan zang-aluda abhi sheron ki shamshiren nahin mange tange par guzara kar rahe hain dosto zindagi karne ki apne pas tadbiren nahin chikh ki surat hayat-e-nau ka ek paigham hain hum hawa ki lauh par be-jaan taswiren nahin sar jhuka kar zulm sahna bhi sarasar zulm hai bakhsh warna zulm ki kuchh aur tafsiren nahin