taqdir-e-shama jalwa-e-jaanana ban gaya shoala utha jo us se to parda na ban gaya jo haal-e-dil tha kaif mein tasir-e-dard tha wo kahte kahte shauq ka afsana ban gaya jannat ki aarzu se hai jannat ka kal wajud virana kah diya jise virana ban gaya yak qatra dil tha mast ka paimana-e-nasib saqi ne ki nigah to mai-khana ban gaya mauqa-shanas husn-e-mohabbat ke bab mein apna tha aur hashr mein begana ban gaya us ki talab mein jab na raha us ka kuchh lihaz andaz-e-be-qarar gadayana ban gaya yun apne dar se tal diya us ke naz ne andaz-e-lutf-e-khas karimana ban gaya 'kaifi' haram ke dar pe tha jo kuchh wo faiz tha han but-kade mein sajda-e-shukrana ban gaya