taqdir ke likhe se siwa ban gae hain hum banda na ban sake to khuda ban gae hain hum marna bhi ab muhaal hai jina bhi ab muhaal apne kiye ki aap saza ban gae hain hum majbur-e-jabr-e-ishq hain mukhta-e-zabt-e-gham tum hi zara batao ki kya ban gae hain hum hai ab bhi iltifat ka talib dil-e-hazin taslim ki raazi-ba-raza ban gae hain hum ghum-gashtagan-e-dasht-e-mohabbat hun mustafid rah-e-talab mein sham-e-wafa ban gae hain hum ab to khushi hai hath mein gham hai na marg o zist al-mukhtasar ki teri raza ban gae hain hum tark-e-talab ke faiz se dil ab hai mutmain apni saza ki aap jaza ban gae hain hum