yahi tamanna-e-dil hai unki jidhar ko ruKH ho udhar ko chaliye

yahi tamanna-e-dil hai un ki jidhar ko rukh ho udhar ko chaliye
hua hai go ishtiyaq behad jama ke pa-e-nazar ko chaliye

hue hain mahrum-e-did-e-be-dil kiya tajahul ka us ne bismil
wo dil-ruba ban gaya hai qatil kamar ko kas ke safar ko chaliye

gharaz thi izhaar-e-muddaa se sitam ko kiya ho gae jo shaki
wo dekhte hi bigad na jaen bulane ab nama-bar ko chaliye

bana hai dam-saz kaun un ka pata nahin muddaton se lagta
ye raaz ho jae aashkara kahin se lene khabar ko chaliye

agar hai shauq-e-jamal-e-jaanan nahin hai kuchh pas-e-waza-e-mauzun
shikoh-e-tamkin widaa kije manane us ishwa-gar ko chaliye

shahid hai 'saqi'-e-dua-go kashida kyun is qadar hue ho
kabhi to ai yar dekhne ko zara qatil-e-nazar ko chaliye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close