taqsir kya hai hasrat-e-didar hi to hai

taqsir kya hai hasrat-e-didar hi to hai
padash us ki husn ka pindar hi to hai

kya puchhte ho mera fasana naya nahin
kya dekhte ho ishq sar-e-dar hi to hai

band-e-qaba chatakta hua ghuncha-e-gulab
pahlu-e-yar nikhat-e-gulzar hi to hai

ham-saegi mein us ki hai kya lutf in dinon
lekin ye lutf-e-saya-e-diwar hi to hai

ai baghban ba-nam-e-bahaaran na chhed use
gulzar mein muhafiz-e-gul khar hi to hai

saz-e-hayat ham-nafaso khub hai magar
kab tut jae sans ka ek tar hi to hai

main tang hun sukun se ab iztirab de
be-intiha sukun bhi aazar hi to hai

khud jis mein kuchh na paya na auron ko kuchh diya
fil-asl aisi zindagi bekar hi to hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close