tar-e-nigah-e-lutf se pahle rafu karen phir mere zakhm-e-dil ki dawa chaara-ju karen kab tak talash-e-yar mein pani lahu karen milna hai jab muhaal to kya justuju karen phir un se arz-e-haal ki kuchh aarzu karen pahle dil-o-jigar ko jab apne lahu karen jis ne kabhi kiya na ho kaba ki samt rukh marne pe kya zarur use qibla-ru karen pahle wo dil mein soch len anjam kya hua luknat pe phir kalim ki kuchh guftugu karen aise hi be-khulus ke hai dosti haram jaise ki hum namaz ada be-wuzu karen rindon ke sath pina pilana hai na-guzir phir kyun na hum bhi baiat-e-dast-e-subu karen donon ke donon khanjar-e-gham se hain chaak chaak dil ko rafu karen ki jigar ko rafu karen 'shoala' na phir kisi se kisi ko gila rahe hum ek dusre ki agar aabru karen