jada-e-ishq mein gir gir ke sambhalte rahna panw jal jaen magar aag pe chalte rahna jalwa-e-amn tumhin se hai mohabbat walo mahr-e-taban ki tarah roz nikalte rahna naghma-e-ishq na ho ek hi dhun par qaim waqt ke sath zara rag badalte rahna zindagi ko mah-o-anjum na ujala denge tum na in jhute khilaunon se bahalte rahna hai yahi waqt-e-amal johd-e-musalsal ki qasam be-sahaaron ki tarah hath na malte rahna zindagani hai faqat garmi-e-raftar ka nam manzilen sath liye rah pe chalte rahna hai sitaron ki tarah mail-e-parwaz 'shakil' dushmano tum ko qasam hai yunhi jalte rahna