tarab-khanon ke naghme gham-kadon ko bha nahin sakte hum apne jam mein apna lahu chhalka nahin sakte chaman wale khizan ke nam se ghabra nahin sakte kuchh aise phul bhi khilte hain jo murjha nahin sakte nigahen sath deti hain to sunte hain wo afsane jo palkon se jhalakte hain zaban par aa nahin sakte ab aa kar laj bhi rakh le khizan-dida bahaaron ki ye diwane fasanon se to ji bahla nahin sakte kuchh aisi dukh-bhari baaten bhi hoti hain mohabbat mein jinhen mahsus karte hain magar samjha nahin sakte chalo pabandi-e-fariyaad bhi hum ko gawara hai magar wo git jo hum muskura kar ga nahin sakte hamein patwar apne hath mein lene paden shayad ye kaise nakhuda hain jo bhanwar tak ja nahin sakte