rakhta hun main haq par nazar koi kuchh kaho koi kuchh kaho hushyar hun ya be-khabar koi kuchh kaho koi kuchh kaho qismat muqaddar bujh kar ghaflat mein aa kar hirs se phir kya hai phirna dar-ba-dar koi kuchh kaho koi kuchh kaho juz masiyat ke kuchh nahin hai kaam mujh aasi ke tain har roz o har sham o sahar koi kuchh kaho koi kuchh kaho kuchh nek o bad kahne ka ab khatra nahin hai khalq ka yaksan kiya naf o zarar koi kuchh kaho koi kuchh kaho hai chaar din ki zindagi khush rah ke aakhir ke tain duniya se jaana hai guzar koi kuchh kaho koi kuchh kaho 'hatim' tawaqqoa chhod kar aalam mein ta shah o gada aa kar laga haidar ke dar koi kuchh kaho koi kuchh kaho