tarah ole ki jo khilqat mein hum aabi hote apne hi waste buniyaad-e-kharabi hote wo jo sote hain faraghat se unhon ke sine kash yak-shab hadaf-e-tir-e-shahabi hote mai na pite kabhi gulzar mein hum yar baghair phul shabbu ke jo yak-dast gulabi hote dil se gard-e-gham-e-kaunain to dhoi jati kash hum kushta-e-shamshir-e-do-nabi hote gar samajhte wo kabhi mani-e-matn-e-quran chehre sharrah ke hargiz na kitabi hote umr ke faut ka hum marsiya padhte jo kabhu aan kar khizr o masih apne jawabi hote apni qismat mein to mahrumi-e-jawed thi aah warna hum shefta-e-ru-e-naqabi hote ru-kashi karne ko hum bahr se jate majnun aable pa-e-junun ke jo hababi hote aatish-e-dil hi farozan na hui warna hamein alif-e-tegh-e-butan sikh-kababi hote hum ko dushwar tha phir ru-e-zamin par rahna kaukab-e-bakht hamare jo shahabi hote ku-e-ushshaq se guzra na wo kafir warna log raste ke ba-taqlid sharabi hote mah hi bas hai hamein go ki na howe khurshid murda kyun dhundte firni ki rakabi hote nim-rang us ki hina dekh na marte gar hum phul turbat ke hamare na gulabi hote 'mushafi' nala khamoshi se kiya main ne badal ta-kuja tar-e-nafas tar-e-rababi hote