mar mar gae nazar kar us ke barhana tan mein kapde utare un ne sar khinche hum kafan mein gul phul se kab us bin lagti hain apni aankhen lai bahaar hum ko zor-awari chaman mein ab lal-e-nau-khat us ke kam bakhshte hain farhat quwwat kahan rahe hai yaquti-e-kuhan mein yusuf aziz-e-dila ja misr mein hua tha pakiza gauharon ki izzat nahin watan mein dair o haram se tu to tuk garm-e-naz nikla hangama ho raha hai ab shaikh o barhaman mein aa jate shahr mein tu jaise ki aandhi aai kya wahshaten kiya hain hum ne diwanpan mein hain ghao dil par apne tegh-e-zaban se sab ki tab dard hai hamare ai 'mir' har sukhan mein