tarah tarah ke fasane sunane lagti hai

tarah tarah ke fasane sunane lagti hai
udun to meri zamin chhatpatane lagti hai

ghurur-e-nasl hai yak-lakht to na jaega
ki lagte lagte ye daulat thikane lagti hai

na jaane kaisi hawa hai ki raat hote hi
badan mein aa ke mere khak udane lagti hai

main apni pyas pe jab sabr bandh deta hun
to jo nadi bhi mile aazmane lagti hai

jahan jahan bhi main us se gurez karta hun
wahin wahin se wo aawaz aane lagti hai

khayal tak bhi agar us ka nam aa jae
wo hath chupke se mera dabane lagti hai

wo ek khushbu hai aati nahin nazar lekin
qarib aate hi khud ko batane lagti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close