tarah tarah se mera dil badhaya jata hai magar kahe se kahin muskuraya jata hai abhi main soch raha tha ki kuchh kahun tujh se ki dekhta hun tera ghar sajaya jata hai gunahgaron mein baithe to inkishaf hua khuda se ab bhi bahut khauf khaya jata hai nae nae wo adakar jaante hi na the ki parda girte hi sab bhul jaya jata hai tawaqquat ka yun bhi khayal rakhta hun bade yaqin se mujhe aazmaya jata hai tamam umr milai junun ki tal se tal ye git sab se kahan gungunaya jata hai ab is tarah ki mohabbat kabhi na ho shayad ki darmiyan mein kahin jism aaya jata hai samajh mein aae na aae ye kuchh hua hai zarur yaqin jo tujh pe mera dagmagaya jata hai