tez-tar lahja-e-guftar kiya hai hum ne barg-e-gul ko kabhi talwar kiya hai hum ne shola-e-tegh ko aaghosh-e-nazar mein le kar zist mein maut ko bhi pyar kiya hai hum ne kitne mansuron ka khun de ke tere kuche mein ehtiram-e-rasan-o-dar kiya hai hum ne mai-kade walon ko saqi ka hawala de kar ek aawaz pe hushiyar kiya hai hum ne ghair ke kham iradon ko kiya hai paspa azm ko aahani diwar kiya hai hum ne amn kahte hain jise ruh hai aazadi ki ek aalam ko khabar-dar kiya hai hum ne ghair ko pahle hi pahchan liya tha lekin hosh mein aane ko ek war kiya hai hum ne khun ke dagh chatanon pe jo pae hain 'nushur' chum kar lala-e-kuhsar kiya hai hum ne