taraqqi aur raftar-e-zamana hasin unwan huzn-agin fasana jo badle nit naya ek aastana bhala aisi jabin ka kya thikana tere fikr-o-amal sab shairana na badla tu ye badle kyon zamana qadam ishq-o-junun ke fatehana khirad ki chaal sab hila bahana mubarak us ka azm-e-muslihana khafa hon jis se abna-e-zamana khumar-e-subh kya kaif-e-shabana mujhe bakhsha surur-e-jawedana wo aansu jo karam ko jazb kar len wahi hai mere daman ka khazana tumhein zauq-e-hadis-e-dil-barana ghazal 'arif' ki fikr-e-arifana