le liya wada un ke aane ka ab muqaddar gharib-khane ka khul gaya raaz muskurane ka tum ko nukta mila bahane ka roz hi inqalab aate hain kya bharosa kisi zamane ka ek sayyaad ek main ek barq sab ko arman hai aashiyane ka dil mein bhi kuchh hai ai jabin-e-niyaz tu to hai naqsh aastane ka tum to hone lage ho sanjida ab main aansu nahin bahane ka jaanen anjam barq ya sayyaad hai to aaghaz aashiyane ka qismat-e-ishq ya ho daulat-e-husn kis ko shikwa nahin zamane ka ashk-e-rangin mera fasana hai zindagi nam hai fasane ka yas hai ek hara-bhara buta mere dil ke nigar-khane ka khauf-e-sayyaad se larazta hun dil hun main apne aashiyane ka zindagi haarne lagi himmat ab raha kya hai aazmane ka gul ki khatir chaman mein baste hain aur bahana hai aashiyane ka mahfil-e-ghair mein zara bach kar main kahin tum ko yaad aane ka sath tauba lagi hui thi 'zaki' aur khula dar sharab-khane ka