taras raha hun qarar-e-dil-o-nazar ke liye

taras raha hun qarar-e-dil-o-nazar ke liye
sukut-e-shab mein dua jis tarah sahar ke liye

main khak-e-rah-guzar hun ki masnad-e-gul hun
ek iztirab-e-musalsal hai umr bhar ke liye

shajar ki jin se udasi tapakti rahti hai
ye sang-e-mil hain shayad meri nazar ke liye

jamal-e-dost ko mashal bana liya main ne
wafa ki rakht-e-safar hai mere safar ke liye

tere khayal ka aiwan lahu se raushan hai
meri nazar ka ujala hai rahguzar ke liye

shikast jis se zamana larazta rahta hai
wahi nawed-e-masarrat bhi hai 'zafar' ke liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close