justuju teri dard-e-sar thahri le ke mujh ko ye dar-ba-dar thahri tujh se mansub jab talak main rahi meri hasti bhi mo'atabar thahri ye meri zindagi tumhaare baghair kitni be-rang-o-mukhtasar thahri mushkilen mujh ko dhundne niklen dam jo lene ko lamha bhar thahri ye saliqa tujhi se aaya hai baat karne mein ba-hunar thahri uf teri banhon ka hisar-e-latif yun laga sham mein sahar thahri jis pe mahw-e-safar raha tu mudam bas wahi meri rahguzar thahri ek tum ho ki hath mein patthar aur main ek shishagar thahri apne irfan-e-zat se 'rumi' apne andar main mo'atabar thahri