tare baraati chanda ko pariyon ki doli kar de mere maula meri duniya phir bachpan jaisi kar de nind agar mahngi hai to halki si jhapki hi de dal sahra aankhon mein khwabon ki thodi hariyali kar de chal basti ke har ghar mein chikhon ki saughaten banten is se pahle ye sannata kanon ko zakhmi kar de tez hawa mein udte patte ko bhi manzil mil jae maula is ko ek bachche ke hathon ki phirki kar de wo to phir bhi narm-o-nazuk dil rakhta hai sine mein yar mohabbat wo shai hai jo patthar ko pani kar de