wo kaun hai jo gali mein kab se sisak raha hai bula ke lao pukarta bhi nahin kisi ko jhijhak raha hai bula ke lao wo shahr bhar ka chahita pagal wo hanste rahna hai jis ki aadat wo aaine ko rakhe muqabil bilak raha hai bula ke lao wo ladka jis ki khamosh aankhon mein raaz kitne chhupe hue hain junun mein kya kya ajib kalmat bak raha hai bula ke lao wo dar-haqiqat hai shahzada jo ek pari-ru pe mar-mita hai faqir ka bhes le ke idhar bhatak raha hai bula ke lao wo ek ghuncha-e-gul tha pahle hua hai kya us ke sath wo jo ab ek aatish-kade ke jaisa dhadhak raha hai bula ke lao