tare jo aasman se gire KHak ho gae

tare jo aasman se gire khak ho gae
zarre uthe to barq-e-ghazab-nak ho gae

pursan-e-haal dida-e-namnak ho gae
ye kab se aap sahib-e-idrak ho gae

anjam-e-imbisat-e-chaman ke sawal par
itna hanse ki phul jigar-chaak ho gae

hona padega qael-e-tamir-e-ahd-e-nau
jis din gharib darkhur-e-imlak ho gae

taftish-e-haal-e-mausam-e-gul ko chale hain aap
ab jab ki aashiyan khas-o-khashak ho gae

sada dilon ne rahnumayan-e-qaum se
itne fareb khae ki chaalak ho gae

dah zehn wo dimagh jo aae watan ke kaam
nazr-e-nashat-e-baada-o-tiryak ho gae

chhuta na hum se daman-e-tahzib-e-anjuman
dushman zara si dhil pe be-bak ho gae

taslim kar na pae jinhen khaksar hum
wo aap ki bala se agar khak ho gae

sar par chadha liya hai jinhen aaj aap ne
kal dekh lenge aap khatarnak ho gae

hum bhi imam-e-masjid-e-jama ki tarah 'shad'
dhoe gae kuchh aise ki bas pak ho gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close