uth gai us ki nazar main jo muqabil se utha warna uthne ke liye ghair bhi mahfil se utha baith kar lutf na tu saya-e-baatil se utha chal ke aaram uthana hai to manzil se utha aa ke mahfil mein teri kaun mere dil se utha koi uttha bhi meri tarah to mushkil se utha sath aata hai to lahron ke thapede mat gin mauj se lutf uthana hai to sahil se utha hath mein jaan uthana to badi baat nahin koi patthar koi kanta rah-e-manzil se utha qurb-e-sahil ke takabbur mein jo kashti dubi koi chhota sa babula bhi na sahil se utha be-dili hae tamanna ki na duniya hai na din jis taraf tujh ko uthana hai qadam dil se utha wo jo nau-warid-e-ulfat hain unhen kya malum kis liye aaj main sang-e-dar-e-qatil se utha shaikh par hath uthane ke nahin hum qael hath uthane ki jo thani hai to baatil se utha aaj us kufr-e-sarapa ne sanware gesu aaj bikhra hua parda rukh-e-baatil se utha 'shad' ek rahbar-e-makkar se rahzan achchha koi nuqsan uthana hai to jahil se utha