tare khile hue hain shab-e-mahtab hai

tare khile hue hain shab-e-mahtab hai
mashuq ham-piyala hai bazm-e-sharab hai

ye kya sitam hai wasl mein munh par naqab hai
qurban is haya ke ye kaisa hijab hai

baithe ho mere samne pahlu mein ghair ke
phir mujh se puchhte ho tumhein kyun itab hai

ye faiz hai mere araq-e-infial ka
nar-e-jahim mere liye aab aab hai

taswir-e-ghair bhej ke us ne ba-laff-e-khat
unwan ye likh diya tere khat ka jawab hai

kyun chhedte hain mujh ko nakirain qabr mein
jo so raha ho us ko jagana azab hai

is ke bhi mustahiq nahin aghyar na-ba-kar
gali bhi aap den to wo durr-e-khushab hai

mujh ko nahin hai shama ki hajat sar-e-mazar
mera har ek dagh-e-jigar aaftab hai

tum to farogh-e-husn mein bar-khud ghalat rahe
main ne na kah diya tha ye dhoka hai khwab hai

kaba jo ek buton ka purana maqam tha
zahid wahan ke shauq mein padar-rikab hai

bhule hue ho ahd-e-jawani pe kis liye
is se to paedar ziyaada habab hai

ruswa mere kiye se na hoga wo hashr mein
us ka sharik ye dil-e-khana-kharab hai

phande mein phans gaya dil-e-nadan hazar haif
kis ko khabar thi zulf tumhaari tanab hai

kyun tum ne mere khat ke parkhache uda diye
naraaz ho to mujh se ho mujh par itab hai

hum ko nahin hai jis lab-e-nazuk se faiz kuchh
ho wo jo khush-numai mein barg-e-gulab hai

mutrib ne rag chheda hai aa kar shab-e-firaq
kya dil-kharash naghma-e-chang-o-rabab hai

'rasikh' mila hai apni riyazat ka phal mujhe
nakhl-e-sukhan jo aaj mera baryab hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close