tere bikhre lafz bhi afkar se aari nahin is haqiqat se to koi shakhs inkari nahin phailta jata hai ek sartan tere jism mein nashtaron ke khauf se mat kah ye bimari nahin guzre waqton ye ibarat mein to kho kar rah gaya waqt ke mathe ki tahriron ka tu qari nahin teri har aawaz un ke shor mein dab jaegi un ka maqsad to tera hanka hai shashkari nahin maslahat-andesh to kotah-andeshon mein hai aaina tera abhi maila hai zangari nahin