tari mere shuur pe wijdan hi raha aaya khudi ko hosh to ek aan hi raha tha hausla ki daman-e-hairan karenge chaak hathon mein lekin apna gareban hi raha phir to wahi thi dhup wahi dhup ka safar zulfon ki chhanw mein bhi tu mehman hi raha ehsan tere ishq ka kya haq ada kare us pe to us ki aql ka faizan hi raha ehsan kharab chashm-e-inayat na ho saka ye bhi to ek lihaz se 'ehsan' hi raha