tari rahega soch pe wahshat ka bhut kya tutega kisi taur ye shab ka sukut kya padti nahin hai aankh ke sahil pe surkh dhup karta main aarzuon ke lashe hanut kya tum ne kaha to zahar bhi pina pada mujhe ab is se badh ke dun tumhein sach ka subut kya kaise kapas ke liye gandum ko chhod dun mitti nahin hai bhuk to katun main sut kya meri nazar bhi talib-e-didar-e-hir hai malna padega jism pe mujh ko bhabut kya 'arshad' hamare hath se phislegi ek din pahle bacha saka koi sanson ki hut kya