utha rahe ho jo yun apne aastan se mujhe nikal kyun nahin dete ho dastan se mujhe khabar nahin hai ki main kis ghadi chala jaun sadaen aane lagin ab to aasman se mujhe ye jaanta hi nahin hun kahan main bhul aaya wo ek raaz jo kahna tha raaz-dan se mujhe nikal sakta nahin hun main dil se hubb-e-husain wirasaton mein mili jo ki apni man se mujhe main jaanta hun agar aaj tum ganwa doge talash karna hai kal tum ne phir yahan se mujhe jo zakhm zakhm hun tanon ke tir kha kha ke to mar kyun nahin dete ho ab ke jaan se mujhe guzar gaya hai jo lamha wo phir nahin aaya mila hai dars yahi umr-e-raegan se mujhe pahunch to jaunga main bhi yaqin ke sahil par nikale koi to 'arshad' par is guman se mujhe