tari talash mein har rahnuma se baaten kin khala se rabt badhaya hawa se baaten kin kabhi sitaron ne bheja hamein koi paigham to muddaton mein kisi aashna se baaten kin hamari khair manao ki aaj khud us ne bade khulus badi iltija se baaten kin gunah-gar to ramz-e-harim tak pahunche sawab walon ne bang-e-dara se baaten kin bahut se wo the jinhon ne buton se faiz uthae bahut se wo the jinhon ne khuda se baaten kin na jaane kab se sunate the us ko hum ahwal nazar uthai to phir ibtida se baaten kin hazar sher kahe yun to kahne walon ne kisi kisi ne dil-e-mubtala se baaten kin