samundaron ke darmiyan so gae thake hue jahaz-ran so gae daricha ek haule haule khul gaya jab us gali ke sab makan so gae sulagti dopahar mein sab dukan-dar khuli hi chhod kar dukan so gae phir aaj ek sitara jagta raha phir aaj sat aasman so gae hawa chali khule samundaron ke bich thakan se chur baadban so gae sahar hui to regzar jag utha magar tamam sarban so gae us aankh ki panah ab nahin nasib palak palak wo saeban so gae 'jamal' aakhir aisi aadaten bhi kya ki ghar mein sham hi se aan so gae